Paatal Lok Facts | Lesser known facts about Paatal Lok cast

Here we have some lesser known facts about the show ‘Paatal Lok’ and its characters.



 Sabse pehle show ke naam ki baat karein to ye ‘JAMUNA PAAR’ rakha jaaney wala tha but shooting se pehle hi show ka naam PAATAL LOK  finalize hua.

 Paatal Lok ka narrative thoda bahut HBO ke popular series ‘The Wire’ se milati hai. Show ke creator Sudeep Sharma ne ek interview me kaha tha ki wo hamesha se ‘The Wire’ jaisa show banana chahtey the.

 Series ke pehle episode me jab highway par chase ke baad chaaron character arrest kiye jaatey hain, wo scene Ahemdabad ke ek under-construction highway ka tha, jisme sari gaadiyon ko same speed par chalwaya gaya. Aisa hi ek scene 2015 ke action thriller Sicario me bhi tha.

 Paatal Lok ki kahani Tehelka news group ke founder Arun J. Tejpal ke ‘The Story of My Assassins’ book se milati-julati hai. 2001 me unpar bhi attack se pehle hi attackers ko arrest kar liya gaya tha. Book me ek attacker ka naam Bhupinder Tyagi bataya gaya hai jisey real life me Hathoda Tyagi ke naam se jana jata tha.


Jayadeep Alawat ne Hathi Ram Choudhary ke character ke sare dialogue aur scene shooting schedule shuru honey se pehle hi yaad kar liya tha. Jis karan shooting ke dauraan koi script ki demand bhi nahi ki. Series ke apne saare action scenes unhone khud hi kiye hain.


Abhishek Banerjee aka Hathoda Tyagi originally show ke casting director hain. Audition ke baad hi unhe finalize kiya gaya.


Abhishek Banerjee ko Hathoda Tyagi se jyada Imran Ansari ka character jyada pasand tha. Wo abtak kabhi bhi Police man ka role nahi kiye hain aur Hathoda ko apne type ka role bhi nahi laga.


► Show me Chini ke role ke liye Manipur ki make-up artist MairemBam Ronaldo Singh jinka acting background se koi lena-dena nahi hai. Makers ne decide kiya tha ki wo iss role ke liye ke transgender ko hi cast karenge jiske liye wo Manipur gaye. MairemBam ko hindi nahi aata thi, to show se pehle ek mahine ke liye acting ke sath-sath hindi bhi sikhani padi.

► Show me Tope Singh aka ‘Chaaku’ ka role Jagjeet Sandhu ne play kiya hai. Jo Punjabi film industry ke popular actor hain. Negative character hone ke karan wo karna nahi chahtey the but makers ke character ke history samjhane ke baad wo raaji huwey.

tope-singh
 
► Show me Tope Singh ka character habitual smoker dikhaya gaya hai but reality me wo smoke nahi kartey. Scenes shoot karne ke baad unki halat show me dikhaye gaye Imran Ansari  jaisi ho jaati thi.

Gul Panag aur Jayadeep Alawat  ke bich thappad wale scene me Gul Panag ne galati se jor ka thappad jad diya tha par iss karan scene me unka reaction bilkul real hai.

hathoda-tyagi

 Hathoda Tyagi (40+ murders karne wale) ke role ke liye Abhishek Banerjee  ko kafi mehnat karni padi thi. Wo pura –pura din crime report aur real life crime stories padha kartey the.


Show me Swastika Mukharjee  jo Dolly Mehra  ke character me dikhti hain. Swastika Bengali cinema ki well-known actress hain. 2015 me released bollywood movie Detective Byomkesh Bakshi me Angoori Devi ka role kiya tha.


Paatal Lok all lead chararcter in single frame

Aisey hi aur unknown facts ke liye baney rahiye Factsaver ke sath.

For gadgets details and comparisons visit: Phonepur

Post a Comment

3 Comments