Trailer me 80 ke dashak ke Purvanchal ke Baahubaliyon ki kahani hai jo khud ko Tees Maar Kha samajhtey hain. Inme Wassem Khan naam ka Baahubali hai jiski tuti purey Purvanchal me bolati hai. Lekin isi bich Vijay Singh naam ke ek aur Baahubali ki entry hoti hai aur wo Waseem ke samrajya ko chunauti deta hai. Jiske baad in dono ke bich Koyala aur Sharab ke thekon ke liye hamesha Gang-war hoti rahti hai.
Wassem ko un dino satta ka support tha aur Vijay ko bhi rajneetik support mil raha tha. Do neta Saheb Singh aur Puraji Singh hain jo in do Baahubaliyon ko support kar rahe hain.
Paisa, Rajneeti aur Raj karne ke liye ye do Baahubali Purvanchal ko crime ki duniya me dhakel ke isey Raktanchal bana dete hain.
Cast
Waseem Khan ka role kar rahe hain Nikitin Dheer. Jo Chennai Express me Thangbali ke role se famous ho chuke hain.
Vijay Singh ka role kar rahe hain Kranti Prakash Jha. Jo issey pehle MS Dhoni- The Untold Story, Ramleela aur Batla House jaisi filmon me kaam kar chuke hain.
Ritam Shrivastav dwara directed is webseries Raktanchal me Vikram Kochhar, Pramod Pathak, Chitranjan Tripathi, Soundarya Sharma, Ronjini Chakraborty, Basu Soni aur Krishna Bisht bhi role kar rahe hain.
Plot
Tender ki jung se shuru ye ladai Rajneeti aur Rasukh ki jung ban jati hai. Jisme anekon logon ke khoon bahaye jayein hain aur Rajneeti ki jati hai.
*In sb roles aur Purvanchal ke itihas ko jantey huwe hum yahi kah saktey hain ki Purvanchal me Mukhtar Ansari aur Brijesh Singh ke bich ki jung hi iss webseries ki kahani ho sakti hai. MX Player khud isey inspired by true incident bata chuka hai. Trailer me Ghazipur ka bhi jikra kiya gaya hai. Banaras aur Ghazipur se hotey huwe ye kahani Lucknow ke satta ke galiyaron tak pahuch jati hai.
1 Comments
👍👍👍
ReplyDelete